skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Saturday, August 8, 2009
Na Ye Chemistry Hoti
Na Ye Chemistry Hoti , Na Mein Student Hota
Na Ye Lab. Hoti Na dil ka Accident Hota
Abhi Practical Mein Aayee Nazar Ek Larki
Sundar Si, Naak Uski Test Tube Jaisi
Baton Mein Uski Glucose Ki Mithas Thi
Sanson Mein Ester Ki Khushbu Thi.
Aankhon Se Jhalakta Tha Kuch Is Taranh Ka Pyaar
Bin Piye Hi Ho Jata Tha Alcohol Ka Khumar
Bechen Sa Hota Tha Uski Presence Ka Ehsas
Andhere Mein Hota Tha Radium Ka Abhas
Nazrein Mileen, Reaction Hua
Kuch Is Tarah Love Ka Production Hua
Lagne Lage Us Ke Ghar Ke Chakkar Aise
Nucleus Ke Charon Taraf Electron Hoe Jaise
Us Din Hamare Test Ka Confirmation Hua
Jab Uske Daddy Se Hamara Introduction Hua
Sun Kar Hamari Baat Woh Aise Uchal Pade
Ignition Tube Mein Jaise Sodium Bhadak Uthe
Woh Bole, Hosh Mein Aao, Pahchano Apni Auqat
Iron Mil Nahin Sakta Kabhi Gold Ke Sath
Ye Sun Kar Tuta Hamare Armanon Bhara ghar
Aur Hum Chup Rahe daddy ki batton ka Kadwa Ghoont Pi Kar
Ab Us Ki Yaadon Ke Siwa Hamara Kam Chalta Na Tha
Aur Lab Mein Hamare Dil Ke Siva Kuch Aur Jalta Na Tha
Zindagi Ho Gayee Unsaturated Hydro carbon Ki Tarah
Aur Hum Phirte Hain Awara Hydrogen Ki Tarha
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment