skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Saturday, August 1, 2009
JAB KABHI AKELE MAIN......
Jab kabhi akele main mujhe koi yaad aata hai,
Na jane kyu wo meri aankh bhar jata hai,
Pal pal main samjhata hu apne is dil ko,
Phir bhi yeh dil unki yaad main rota chala jata hai
Jab kabhi main sochta hu beete hue palo ko,
Mere hoothon par ek haasi aa jati hai,
Par jab aaj ke halat ki aur dekhta hu,
To meri duniya akeli aur viraan nazar aati hai.....
Unse sirf ek dosti ka nazarana manga tha maine,
Jisme mujhe pyar aur apnapan nazar aaye,
Par unhone is nazrane ko is kadar thukra diya,
Jaise koi shaks apni maut ko thukrata hai.....
Mana ki aaj unhe chahne walo ki kaami nahi hai,
Par agar ek nazar unhone apne is deewane ki aur dali hoti,
To unhe nazar aata ki aaj bhi yeh pagal sirf unki khushi ki hi dua mangta hai....
Ho sakta hai ki aaj unhe mere pyar aur dosti ki zarurat nahi,
Par mujhe lagta hai ki dost ko uski dosti ka ehsaas tab hota hai,
Jab wo uski zindagi se bohot dur chala jata hai...
Aur beetein hue lamho ki kuch haseen yaadein chod jata hai.."
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment