skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Monday, August 3, 2009
MOHABBAT
Hum use bhula kar bhi nahi ji sake,
hum use yaad rakh kar bhi nahi ji sake,
mar jaate kabke unke bina
par unki baaho ke bina mar bhi nahi sakte.
Mohabbat ke bhi kuch andaz hote hai,
jagti ankhon me bhi kuch khawb hote hai,
zaruri nahi ki gum me hi ansu nikle,
muskurati ankhon me bhi sailab hote hain.
Ae palak tu band ho ja,
khwabo mein unki surat to nazar aayegi,
intezar to subah dubara shuru hoga,
kam se kam raat to khushi se kat jayegi.
Yeh dekha hai humne aazmakar,
dhoka dete hai log aksar kareeb aakar,
kehti hai duniya par yeh dil nahi maanta
ki chod jaoge tum bhi ek din apna banakar.
Tere hote hue bhi tanhai mili hai,
wafa karke bhi bewafai mili hai,
jitni dua ki tumhe pane ki,
us se jyada teri judai mili hai.
Dil ke jhakhmo ko unse chupana pada,
palke bhigi thi par muskurana pada,
kaise ulte hain mohabbat ke ye riwaz,
Roothna chahte the par unko manana pada.
Unke pyar me humari zindagi kat rahi he mehkhane me,
na humne kuch kaha,
na unhone kuch kaha,
fir unhe kyon he shikayat humari zindgani se.
Ghum ye nahi ki aapne humse pyaar karna chod diya hai,
magar gum yeh hai ki aapne aaj kal humse nafrat karna bhi chod diya hai.
Tum kya jano kya hoti hai tanhai,
is tute hue patte se puch kya hoti hai judai.
Yun bewafa ka ilzaam na de zalim,
is waqt se puch ke kis waqt teri yaad na aayi.
Nafrat thi meri zindagi se to ulfat kyon ki,
dena tha zehar to mohabbat kyon ki,
dete ho zehar to kehte ho pina hoga,
pita hu zehar to kehte ho jeena hoga.
Kabar ki mitti utha le gaya koi,
usi bahane hume chukar gaya koi,
tanhai aur andhere me khush the hum,
lekin phir se intezar karne ki wajah de gaya koi.
Na kabhi ye chupaya ki pyar kitna hai,
na kabhi ye jataya ki dard kitna hai,
bus ek hume aur uss khuda ko hai maloom,
tujhse mulakat ka intezar kitna hai.
Hum phir bewafa se rishta bana baithe,
phir unki saadgi se dhoka kha baithe,
pathron se hai taalukaat apna,
phir bhi sheeshe ka ghar bana baithe.
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment