skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Sunday, August 16, 2009
Chand Ki Deewani
Bholi si ek lerki jo chand ki deewani hai
Hirni si ankhoon main bala ki hairani hai
Boolay tu batoon main chuppi ek hairani hai
Bholi si ek lerki jo chand ki deewani hai
Kaha main nay us say ek din ,deekhoo atebar na kerna!
Hain loog yeh buhaat jhootay waqat beekar na kerna
Kehnay lagi nahin jeeya! yeh tu meet hai mera
Tanhai main jo gungoonaoon woh sangeet hai mera
Kaha main nay nahin chanda!yeh dost nahin kissi ka
Kehnay lagi nahin pagal!hai man meet yehi sab ka
Janay na reet zamanay ki masoom hai unjani hai
Bhooli si ek lerki jo chand ki deewani hai
Kaha main nay arri o chand!khabhi soocha bhi hai tu nay
Kyoun rehta hai is qader door aata nahin teray paass
Kerta hai atkhaleeyaan dilata hai jhooti ass
Kehnay lagi jeeya!aya jo paas meray tu woh mohabbat kahan hogi?
Furqaat main jo lazat hai qurbaat main kahan ho gi?
Manay na baat meri samjay khud ko sayani hai
Bhooli si ek lerki jo chand ki deewani hai
Bhooli si is lerki say yeh behaas purani hai
Jeeti hoon na main us say na haar us nay mani hai
Hairan main yeh kaysii bhakhat ki girani hai
Bhooli si ek lerki jo chand ki deewani hai
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment