skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Wednesday, November 4, 2009
Ruki Ruki Si Thami Thami Si
Ruki ruki si thami thami si , thi meri yeh zindagi..
Jeeti thi main bas yuhin , khud ki parwah nahi thi..
Jhoom kar aayi kuch aisi hawaein , dil churakar chali gayi..
Sochti rahi main, dhundti rahi main , neendein meri khogai..
Tha who ajnabi kuch aisa.. jo mujhse mujhko chura gaya..
Seedhi saadhi si zindagi mein meri hazaron rang bhargaya..
Badal gayi main , meri saari duniya hi badal gayi..
Khabar rahi na kisiki , main to usmein kahin kho gai ..
Saanson mein mere sarmagaya , khwaabon ko who sajagaya ..
Kabhi hasaya aur kabhi dil ko mere woh dhadkagaya..
Tha woh ek hawa ke jhoke jaisa..
Rehta hai dil mein mere, nahi hai koi uske jaisa..
Aaye to hasata hai , jaaye to rulaata hai..
Aate jaate mujhe woh dewaana kar jaata hai..
Baaton mein uski hai phoolon si taazgi , jo saanson ko mehkaati hai..
Adayen hai uski badi jadugaari , jo mujhe bada tadpaati hai..
Saath mere rehta hai harpal , aankhon mein chupa baitha hai..
Bhehkaata hai mujhe woh , aur wahi sambhaal jaata hai..
Armaan hai to bas itna ke ek baar phir who aajaye..
Thaam kar mere haath woh , saath apne mujhe le jaaye
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment