skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Wednesday, November 18, 2009
kisi ki Ankh Say Sapnay Chura kar kuch Nahin Milta
Raston ki Marzi hai
Be-Zameen Logon ko
Be-Qarar ankhon ko
Bad-Naseeb Qadmon ko
Jis Taraf bhi le jaye
Be-Nishan Jazeeron per
Bad-Gumaan Shehron mai
Be-Zuban Musafir ko
Jis taraf bhi Bhatka dain
Raston ki Marzi hai
Rok dain ya barhne dain
Thaam lain ya Girne dain
Wasal ki Lakeeron ko
Tor dain ya Milne dain
Raston ki Marzi hai
Ajnabi koi la ker Humsafar bana dain
Saath chalne walon ki Raakh bhi ura dalain
Ya Musaftain sari Khaak mai mila dain
Raston ki Marzi hai.........
Wo Anjuman Mai Raat Bari Shaan Se Gaye
Wo Anjuman mai Raat Bari Shaan se gaye
Imaan cheez kya thi kayi to Jaan se gaye
Mai to Chhupa hua tha Hazaaron Naqaab mai
Lekin akele dekh ke Pehchaan se gaye
Wo Shamaa ban ke Khud hi akele jala kiye
Parwaane Lal ki Raat Pareshaan se gaye
Aaya Tera Salam na aaya hai Khat koi
Hum Aakhrii Safar ke bhi Samaan se gaye
RAHI` jinhein Khudaa bhi na samajha saka kabhi
Bethe Bithaaye dekh lo ab Maan se gaye
Kuch Nahin Milta
kisi ki ankh say sapnay chura kar kuch nahin milta
munderoon say charagh bugha kar kuch nahin milta
hamari soch ki parvaz ko rokay na koi
naye iflak pay pehray bitha kar kuch nahin milta
koi ik adh sapna ho tu phir acha bhi lagta hay
hazaroom khawab aankhoon mein saja kar kuch nahin milta
sukoon un ko nahin milta kabhi pardes ga kar bhi
jinheen apnay watan say dil laga kar kuch nahin milta
usay kehna kay palkon par na tankay khwab ki jhalar
samandar kay kinaray ghar bana kar kuch nahin milta
Is Tarah
Na dekha karo tum humein, teerchhi nazaron se is tarah
ke jaan jaati hai jism se, neend aankhon se jis tarah
Aaankhein hai ye tumhari, ya shab e maikhana
main hosh jo kho doon, mujhe hosh mein na lana
Dekha jo tumne pyar se, wafa ka izhaar hua
paya jo tumhein zindgi mein, mohabbat ka ikraar hua
Khoya jo tumhein, ik aah nikli is dil se
dil ko jala gayi, ik bijli is dil se
Ab na aao khwaabon mein tum, kahin neend se na jagoon
main zinda hi kab tha, kahin maut se na jagoon.....! !
Phir na dena sada humko
Phir na dena sada humko
phir na loat k aaiengey hum
phir na kehna bewfa humko
ye aur baat hey k ek baar nahi so baar
so bar nahi bar bar
tera naam lene se milti hey shafa humko
phir na dena sada humko
phir na loat k aaiengey hum
yeh waqt bhi bara zalim hey
na iss ke paas
dil hey
na aankh
na aansoo
na ehsaas
iss toofan main bikhar jaiengey hum
phir na sametna humko
phir na dena sada humko
Hum apna se ziyda
Hum apna se ziyda logo sai piyaar kartee hai
phir kyon wohi log hamare piyaar ko thokra jate hai
jinhey hum apna dil mein rakhna chahte hai
wohi kyon auro ki khatir humhra dil tor jate hai
jab matlab hota hai
phir hi kyon "tariq" ko saab yaad kya kartee hai
jab apna waqt nikal jata hai
wohi log kyon beegane ban jate hai
hum apney se ziyda es duniya kai logo per barosa kartee hai
phir kyon duniya wale mera barosa tor jate hai
"Tariq" to Ulfat main apna sab kuch lotta deta hai
Par kyon log "tariq" ki ulfat ko samjh nehi pate hai
Usey Kehna
Bikhar rahi hia Meri Zaat Usey Kehna
Kabi mile to yeh Baat Usey Kehna
Wo saath tha to Zamana tha Hamsafar Mera
Magar ab koi nahi Mere saath Usey Kehna
Usey Kehna k bin uske Din nahi kat`ta
Sisak Sisak k Kati hai Raat Usey Kehna
Usey Pukaroon k Khood hi ponch jaoon us k paas
Nahi Rahi wo Halat Usey Kehna
Agar wo phir b na lautey to Ae Qaasid!
Hamari Zeest k Halaat Usey Kehna
Her Jeet uske Naam kar raha hoon Mai
Mai maanta hoon apni Haar Usey Kehna
Jab sawan
Jab sawan may tanha bhego gay,
Jab aangan khali pao gay,
Jab sahil say takrati lehro may,
Apni tanhai may kho jao gay,
Jab raat k tanha daman may,
Tum chand ko aadha pao gay,
Jab khud sa batien kartay kartay,
Tum door kahin kho jao gay,
Jab dil ki baat chupany ko,
Hum say nazar tum churao gay,
Main tum say mohabbat karta hon,
Her bar ye sunna chaho gay,
In sab lamhon may jan lena k,
"Tum" tum nai, "Hum" banjao gay...
ashiq
JAB SE MUJHKO PYAR HUA H SAB APNA SA LAGTA H------2
PANAAH NAHI DETI THI CHAON,
DHOOP JALATI THI MUJHKO ,
AB TO SURAJ BHI MUJHKO
SATHI APNA SA LAGTA HAI;
JAB SE MUJHKO PYAR HUA H SAB APNA SA LAGTA H------2
DARD SE THA AB-TAK ANJANA,
JASBAAT SAMAJH NAHI PATA THA;
GAHM KISI KA ZAKHM KISI KA,
DARD APNA SA LAGTA H;
JAB SE MUJHKO PYAR HUA H SAB APNA SA LAGTA H------2
PASS NAHI WO SAATH H MERE,
ZINDA JALTE DEKHA H;
DABI H LAASH IS DIL KE ANDAR;
DIL TAJ-MAHAL SA LAGTA J.
JAB SE MUJHKO PYAR HUA H SAB APNA SA LAGTA H------2
Tu mera Hai
Ta `abeer main tu too meray paas nahin
Khawaboon main tu too mera hai
Mere rahoon main andhera he sahi
Mere sochon main tu sawaira hai
Youn tu lakhon chehray hain es duniya main
mMere ankhon main sirf tera chehra hai
Kya haseen tuhf diya yadon ka
kay mere tahreer main bhi ab tu rang tera hai
Hina daiti hai dua tu jahan rahe shaa-o-abad rahe
Mere ye sooch he kai hai kay tu mera hai
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment