skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Tuesday, November 3, 2009
Dard se daaman chhuDaakar
Dard se daaman chhuDaakar
Dil ye naadaan hai ummeed liye baithaa hai
Vo na aayenge magar aas liye baithaa hai
Unke vaade pe thaa aitbaar ye naadaani thee
Ashk peene kee ye ik pyaas liye baithaa hai
====================================
Dard se daaman chhuDaakar jaayenge ab ham kahaan
Kyaa kare ye dil bechaaraa rooth jaaye jab jahaan
Kisne dekhee hai kaheen dil kee sulagti aarzoo
Aag jo ismen lagee hai kyaa chhupegaa ye dhuaan
Muskaraa kar jeet lenge zindagee ke gham sabhee
Bah na jaaye aansuon men hasraton kaa aashiyaan
Aapse ummeed kar hamne baDee hee bhool kee
Aapse hee chal rahaa hai DhaDkano kaa kaarvaan
Zindagee kee bheeD men mushkil se miltaa dil koyee
Door hokar bhee hamen lagtaa hai vo ik meharbaan
Dil ne maangaa to nahee thaa aapse kuchh bhee magar
Aapne kitnee banaadeen do dilon men dooriyaan
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment