skip to main | skip to sidebar

Poem

Your Ad Here

Monday, November 30, 2009

Dil Mera Jalaane ki Zaroorat kya Thi


Yoon hum ko sataane ki zaroorat kya thi,
Dil mera jalaane ki zaroorat kya thi.

Jo nahi tha ishq to keh diya hota,
Dil tod ke jaane ki zaroorat kya thi.

Maloom tha gar yeh khwaab toot jayenge,
Neend mein aa kar uthaane ki zaroorat kya thi.

Maan loo gar yeh yak tarfa mohabbat thi,
Mujh ko dekh kar muskuraane ki zaroorat kya thi
Posted by Rupali at 8:27 PM No comments:

Sunday, November 29, 2009

Na Main Heer, Na Tu Hai Ranjha


Na Main Heer, Na Tu Hai Raanjha
Pyar Me Dard Magar Hai Sehna

Mile Jo Ranjha Ban Kar Mujhe Tum
Husn Mera, Ho Gaya Kaatil Tera

Pyar Se, Bahut Chaao Se Tum Kehte
Meri Heer Tu Meri Raato Ka Taara Hai
Koyal Jaisi Meethi Hai Aawaaz Teri
Kaano Me Ghol Di ho Jaise Misri Ki Dali
Meri Zulfo Ko Chhu Jaate Tere Lab
Bhar Ke Aankho Me Ajeeb Si Shararat

Chal Pade Hum Anjaan Safar Par
Kabhi Socha Na Anjaam Humne
Mohabbat Se Laga Jo Dar Thaa
Khabar Hui Mujhe Aur Zamaane Ko

Piya Maine Zeher Ka Pyaala Pyaar Me
Mehndi Ka Rang Hua Laal Khoon Se
Siya Tune Zakhmo Ko Kaanto Se
Machal Uthi, Tadap Uthi Dharti Fir Se
Heer Raanjha Ki Daastaan Se
Posted by Rupali at 8:30 PM No comments:

Saturday, November 28, 2009

Ohna Sade Pathar Wi Jadho Mareya


Ohna sade pathar wi jadho mareya asi saamb leya,
Sada ditta phool wi o pairan heth rolde rahe,
Asi ohna de bola nu saugat samjh k poojde rahe,
Oh har saugat sadi nu bas chand sikeya naal tolde rahe,
Sadeya si ohna sanu har gusse gile mitaun layi,
Par kujh aisa hoya asi sunde rahe o bolde rahe,
Asi har ik she ohna di nu rabb warga poojde rahe,
Oh har ek she jo sadi c... usnu pairan hetha rolde rahe.
Pehla sade dil ni ohna tukre tukre kar sutteya,
Fer tutte hoye tukreya nu o poteya naal firolde rahe
Posted by Rupali at 9:05 PM No comments:

Thursday, November 26, 2009

Mujhe Aaj Bhi Kissi ka Intezar Hai


Mujhe aaj bhi Kissi Ka Intezar Hai

Ek aise Shaqs ka jisko Mujhse Pyar hai

Lak dilasa de luu iss dil ko

Magar yeh dil uske liye bekrar hai

Per ek khyal dil ko chu jata hai

Kya wo mera khyal hai ya

wo mera sawal hai

kasam hai mujhe aaj bhi

Ussey Sacha pyar hai

Kya uss ko bhi mera Itna hee intezar hai

jitna mujhse uspe aitbaar hai

Uski khamoshi ab mujhe maar deti hai

Dil bolta hai mujhse , key to aaj bhi wohi sawal hai

Jis ka mujhe aaj bhi intezar hai
Posted by Rupali at 9:09 PM No comments:

Wednesday, November 25, 2009

Woh Milta Tha Roz Hanste Hoe Hum Se


Woh Milta tha Roz hanste hoe hum se
Dil-e-Aarzoo ko Chupa kar hum se

Barso Se Bunta Tha Sapno Ko Palkoon Pe
Par Kahayalo Mein Khe Jata, Hum Se

OOs ki Hichkichaahat the Rokaawat
Par Itebaar Buland The Hum Se

Dil-shaad kar gai uski mahabbat mujhko
Raha Nahi gaya kuch bole bagir humse

Nigaho mein basa Liya us farishta Ko
Aur Keh deya, jo tawaqqo the uski, humse

Posted by Rupali at 8:35 PM No comments:

Tuesday, November 24, 2009

Aaj Jaane Kii Zid Na Karo


aaj jaane kii zid na karo
yuu.N hii pahaluu me.n baiThe raho
haaye mar jaaye.nge ham to luT jaaye.nge
aisii baate.n kiyaa na karo

tum hii socho zaraa kyuu.N na roke tumhe.n
jaan jaatii hai jab uThake jaate ho tum
tum ko apanii qasam jaan-e-jaa.N
baat itanii merii maan lo

vaqt kii qaid me.n zindagii hai magar
chand gha.Diyaa.N yahii hai.n jo aazaad hai
in ko kho kar abhii jaan-e-jaa.N
umr bhar na tarasate raho

kitanaa maasuum-o-rangiin hai ye samaa
husn aur ishq kii aaj meraaj hai
kal ki kis ko Khabar jaan-e-jaa.N
rok lo aaj kii raat ko
Posted by Rupali at 8:23 PM No comments:

Monday, November 23, 2009

Sardiyon Ki Raat


Sardiyon Ki Raat
Aaj phir dil udaas hai,
Aaj phir dil bekrar hai,
Aaj phir wohi sardiyon ki raat hai,
Kal phir ek dost,
Ek humdum,
Ek humraj,
Chala jayega dur jindagi ki rah me,
Apne humsafar ko sath lekar
Kuch naye sapne lekar,
Kuch nayee Aashaye lekar,
Kuch naye dost banane,
Kuch nayee manjile pane,
Kuch nayee dard batne,
Kuch nayee khuishyan bikherne..
Jaao dost,
ek naya jahan abad karo
Jab kabhi Aaye hamari yad ,
Jab kabhi pade hamari jarurat,
Jab kabhi milne ko dil karen,
Dena ek Aavaj, paaoge hamen
vahin karib,
Kahin bahut hee karib,
Apne dil ke pas
Posted by Rupali at 8:21 PM No comments:
Older Posts Home
Subscribe to: Posts (Atom)
Your Ad Here

Followers

About Me

Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
 

Blog Archive

  • ▼  2009 (237)
    • ▼  November (28)
      • Dil Mera Jalaane ki Zaroorat kya Thi
      • Na Main Heer, Na Tu Hai Ranjha
      • Ohna Sade Pathar Wi Jadho Mareya
      • Mujhe Aaj Bhi Kissi ka Intezar Hai
      • Woh Milta Tha Roz Hanste Hoe Hum Se
      • Aaj Jaane Kii Zid Na Karo
      • Sardiyon Ki Raat
      • Woh..........
      • Chalo Ek Baar Phir Say Ajnabi ho Ja'ain hum dono
      • Chiraag kisii ne jalaa diyaa
      • Ashk Girte hain to
      • kisi ki Ankh Say Sapnay Chura kar kuch Nahin Milta
      • Na Janay Aankho Say kaya Pilati Ho Tum
      • Ye To Moti Hain Mere Pyaar ko Sajaane K liye
      • Tera Hone Laga Hu
      • Mujhey Aaj Bhi Kisi Ka Intezar Ha
      • kuch kehna tha......
      • ye he zindagi hai...
      • Teri yaad pahele aa jaati hai..
      • Kash Tum Kabhi Do Kadam Hi Badaate
      • Bhool ja kasme
      • Kuchh kaho na !
      • Dil Mei Kisi ko Jarur Rakhna
      • Sabse Chupake Dard
      • Ruki Ruki Si Thami Thami Si
      • Dard se daaman chhuDaakar
      • "SHAYAD KABHI MILO TUM"
      • Mujh Se khafa Ho ke
    • ►  October (31)
    • ►  September (28)
    • ►  August (31)
    • ►  July (30)
    • ►  June (29)
    • ►  May (29)
    • ►  April (29)
    • ►  March (2)