skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Thursday, October 8, 2009
MOHABBAT WHO BARISH HAI
~BARASTI RAHI SAAWAN KI GHATTA~
Ajnabi yeh raat hai
bheega bheega sa yeh mausum
lamha lamha choo rahi thi sard hawaaein
tanha tanha lag raha tha apna saya
waqt ka chupchaap nangey panv chalna
aankhon mein thi judai ki baarish
Aansoon ne hai sataya is tarah
Zindagi barsaat bankar bikhar gaye
baarish mein bheega maan
woh baarish ki boondey
boondo ka uski yaad se
rishta zaroor tha
boondein giri phool per
aankh mein bhi aanson aa gaye
phool usko pasand they
aksar Boondon Ko Haathon
Mein Samet Lena shayed
Baarish Bhi usey Pasand thi
aasmaan bhi aaj roya tha
chand mein bhi thi jhalak uski
Bikhri huyi thi uski chandni
per andhera aaj kuchh badla huwa tha
kya chand bhi aaj roya tha
Nahi to achaanak aasman yoon na barasta
aankhone bhi keh diyaa hai
yaad na usko kiya karoon humse ab roya nahin jaata
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment