skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Friday, October 9, 2009
Aisa hi hota hai…
Aisa hi hota hai…
K jisko jitna sambhalo..
Utna hi door chala woh jata hai !
Yakeen naa aaye ek bar bhi,
Lekin aisa wakyaa bhi hota hai…
Rota hai koi tootkar tanhai mein,
Phir bhi duniya mein woh hasta hai …
Lagta hai jaise mitai thi hasti,
Sab jaise ab haara hua sa lagta hai ..
Jaane kitne wade liye-diye,
Chhootne pe sab bojhil sa dikhta hai…
Aisa hi hota hai..
K jisko jitna sambhalo,
Utna hi door chala woh jata hai!
De jata hai sirf kuch ehsaas,
Phir sab kuch pehle sa hota hai.....
Karta hai kuch shikwa-shikayat,
Dil, lekin phir se shamil duniya hota hai..
Naa thamegi uski zindagi,
Naa yahan kuch rukta sa dikhta hai…
Malum hai tum sambhal jaaoge,
Dard toh sirf khone ka ek shayar ko milta hai ….!!!!!!!
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment