skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Monday, October 19, 2009
Barishoun k Mousam Main
Barishoun k mousam main
dil ki sar zamen par
gard kion bikharti hai?
es tarha k mousam main
phool keun nahi khiltay?
loog keun nahi miltay?
kion faqat ye tanhai saath saath rehti hai?
kion bicharne walon ki yaad saath rehti hai?
itni taiz barish se dil k aainay par se
Aqs kion nahi dhulte?
zakhm keun nahi mit'tay?
neend kion nahi aati?
barishoun k mousam main aankhain kion barasti hain?
ashk kion nahi thamtay?
subha kion nahi hoti?
raat keun nahi dhalti....
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment