skip to main | skip to sidebar

Poem

Your Ad Here

Saturday, October 17, 2009

koi to hota????...


Main jis kay dil ki kitab banta
Main jis ki chahat ka khawab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
Ban kar azaab banta
Koi to hota?

Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota
Koi to hota?

Jo mujh ko dil ka karar kehta
Ragoo ka apni fishar kehta
Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta
Koi to hota?

Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay
Koi to hota?

Main jis kay itna qareeb hota
Na paas koi raqeeb hota
Main tanha uss ka habbib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota?
Posted by Rupali at 10:40 PM

No comments:

Post a Comment

Newer Post Older Post Home
Subscribe to: Post Comments (Atom)
Your Ad Here

Followers

About Me

Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
 

Blog Archive

  • ▼  2009 (237)
    • ►  November (28)
    • ▼  October (31)
      • Tum Bura Maan gaye
      • Chand !
      • Aye sakhi saajan?
      • Raat Chandni Mein
      • Beti Paraya Dhan
      • Mai Aur Dil
      • Ye Dua Hai Meri Rab Se
      • kuch kaho na
      • Ham Tere Hai Sanam
      • $ Sirf or sirf apke liye....$
      • Achchha Nahi Lagtaa....
      • Ek Jaam Mohbbat kaa
      • Barishoun k Mousam Main
      • Mujhe Mana Lo!!!!!!!!!
      • koi to hota????...
      • !! Pholon Ko Seene Se
      • Ijazat ho kuchh likh de
      • Masoom Mohabbat ka
      • **^** YaADoN kA RiSHtA **^**
      • *** MOHABBAT KI THI ***
      • Hamein Ye Duniya Parayi Si Lagti Hai...
      • Toot Jaane Ko
      • Aisa hi hota hai…
      • MOHABBAT WHO BARISH HAI
      • Dard Kya Hota Hai Bataenge Kisi Roz!
      • Nazar Nahi Aata..
      • Mujhe Bus Itni Se Dua Do!
      • $ Koi yaad ata hai bahot.......$
      • Tumhe Zid Hai ke ....................................
      • Aisa hi hota hai…
      • Yadein Bhi Hain kuch Aisi
    • ►  September (28)
    • ►  August (31)
    • ►  July (30)
    • ►  June (29)
    • ►  May (29)
    • ►  April (29)
    • ►  March (2)