skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Saturday, July 25, 2009
Tum Saath Nahi Ho
Main nahin hun tanha aaj bhi,
Jab tum mere saath nahi ho.
Tumhari yaadein hain safar mein shaamil,
To kya hua tum saath nahi ho.
Aaj bhi yaad hai mujhe tumhari baatein,
Yaad hai tum kaise muze sataate the.
Yaad hai mujhko tumhaari koshishein,
Yaad hai roothne par tum kaise manaate the.
Aaj bhi nahi bhooli hun wo wayda,
Jo tumse kiya tha maine kabhi.
Nahi bahaye tumhari yaad mein aansu bhi,
Tab bahi nahi jab ro rahe the sabhi.
Aaj bhi mehsoos karti hun tumhe main,
Din ki pehli kiran mein, ujaalon mein.
Lehraati hui hawaa lagti hai tumhari hasi,
Khojti rehti hun tumhe apne sawaalon mein.
To kya hua tum aaj mere saath nahi ho,
Dosti ka rishta main fir bhi nibhaungi.
Tumhare saath bitaya har pal khaas tha,
Kisi aur ke saath wo pal na baant paungi.
Hamari dosti hai saare jahaan se juda,
Tum jaisa dost pana meri khuskismati hai.
Zindagi mein ab aur dost mil bhi jaayein magar
Mere liye zindagi ka matlab hi tumhari dosti hai.
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment