skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Monday, July 13, 2009
AAO CHAAND MEIN GHAR BASAYE
Mohabbat mein to kehate hai sab main tod laoonga chand bhi
Lekin main kehata hoon sanam chalo hum ghar basaye chaand mein
Socho zara kaisa hoga woh aalam jab chaand mein hoga apna ghar
Jahan koi na ho dushman mohabbat ke aur na humko kisi ka bhi darr
Sochta hoon main sanam kaisa hoga apna ghar chaand mein
Jahan par honge sirf main aur tum aur koi na ayega humein taakne
Socho zara kaisa hoga woh alam jab rahenge hum ek duje ki baahon mein
Kaisa hoga sanam woh alam jahan honge na koi dushman pyaar ke
Duniya ke liye to aati hai mahine mein ek din amavas ki raat bhi
Lekin sanam hamare jeevan mein phir kabhi amavas ki raat hi na aayegi
Har raat apni hogi punam ki jab humtum madhosh ho jayenge
Bas ek duje ki baahon mein lete hum prem ke geet gun gunayenge
Socho zara kya sochenge duniya wale jab woh dekhenge chand ko ek chand mein
Chand bhi sharma jaayega sanam dekh kar chand sa mukda tera
Taare sab kehate rahenge na jaane kahan chali gayee hamari roshni
Roshni hamari ghum ho gayee hai jab se chand mein aayi hai chand si ek pari
Humko abhi na zarurat hai holi ki na zarurat hai humein diwali ki
Bas agar zarurat hai kisi ki to woh hai ek duje ke saath ki
Jab tum rahoge saath mere har din hoga holi aur raat diwali ki
Bas sanam tera saath jo mile to main samjhoonga meri kismat khil gayee
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment