skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Tuesday, July 14, 2009
Tu Hai Meri Pehli Aur Aakhri Ummid
Tu Hai Meri Pehli Aur Aakhri Ummid
Tujhpe Hai Mujhe Apne Aap Se Zyada Vishwas
Tujhpe Hai Mujhe Khuda Se Zyada Vishwas
Mera Vishwas Kabhi Na Todna.
Saansein Kar Di Hai Tere Vishwas Ke Hawale
In Saanson ka Kaafila Na Todna
Mera Vishwas Kabhi Na Todna.
Rooh Mahekti Hai Sirf Isi Vishwas Ke Sahare
Ke Tu Hamesha Rahegi Meri Rooh Me Shamil
Mera Vishwas Kabhi Na Todna.
Mohabbat Ki Duniya Hai Tere Vishwas Ki Badaulat
Ke Tu Chalegi Har Kadam Mujhse Wafa Nibhake
Meri Wafa Ka Vishwas Kabhi Na Todna.
Teri Wafayein Hai Meri Saans Ke Aane Ka Sabab
Mujhse Bewafai Karke Mera Vishwas Kabhi Na Todna.
Tere Sahare Hi Hai Meri Zindagi Ka Har Kadam
Mujhe Thokar Marke Mera Vishwas Kabhi Na Todna.
Maana Hai Tujhe Khuda Se Badhke
Mere Is Maan Ka Maan Kabhi Na Todna.
Meri Jaan Mera Vishwas Kabhi Na Todna.
Chal Pada Hoon Tanha Safar Pe
Sirf Tere Vishwas Ke Dam se
Raah Me Mujhe Akele Chhodke
Mera Vishwas Kabhi Na Todna.
Chhod Diya Duniya Ko Tere Hi Bharose
Main Duniya Me Tanha Ho Jaunga Tere Bina
Mujhe Tanha Chhod Ke
Mera Vishwas Kabhi Na Todna.
Rehti Hai Dil Ke Aayne Me Sirf Teri Hi Wafa Ki Tasvir
Khain Bewafai Karke Is Aayne Ko Chur Chur Na Karna
Mera Vishwas Kabhi Na Todna.
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment