skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Wednesday, July 22, 2009
Bachpan...
Woh bhi kya din the jab bus khiloney tuta karte the,
Girtey they aansu, par do pal ko rootha karte the...
Khilkhila kar hansti thi khushiyaan,
Alvida keh kar bhi kahan chhoota karte the...
Baras ke sawan humein hansaya karta tha,
Pyara sa bachpan hardum khushiya lutaya karta tha...
Papa ke kandhoon par baith dekhte the duniya,
Sara jamana hum par sir jhukaya karta tha....
Woh din vo bachpan bahut yaad aata hai,
Woh Zindgi fir jeene ko dil lalchaata hai...
Sawal tujhse aye khuda! aur niyati se bhi,
Kyon itni jaldi ek baccha bada ho jata hai...
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment