skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Sunday, May 3, 2009
Woh sari baatain khuwaab hai
Woh sari baatain khuwaab hai
Aur khuwaab se phir azaab hain
Jab tum ko saba ke jhonke se
Paighaam humara milta tha
Jab meri aik nazar se hi
Chehra yeh tumhara khilta tha
Kuch yaad sa tum ko hai jana
Jab phone ki aadat roz ki thi
Kuch dair jo mujh ko ho jati
Tum ghanton rootha karti thi
Kabhi geeton ki kabhi sheron ki
Tum khuwahish mujh se karti thi
Kabhi pyaar tha meri baton se
Mere chehre se meri aankhon se
Aur jhank ke meri aankhon main
Tum khud ko dhoonda karti thi
aik do din dekh na paao to
Tum bekul bekul rehti thi
Aur ab to aisa aalam hai
Koi chahat hai na ulfat hai
Kia pyaar muhabbat aur wafa
ais zikar se tum ko vehshat hai
Main laakh tassalli khud ko doon
Ke ab bhi teri main khuwahish hoon
Anjaan bazahir lagti ho
Main ab bhi tera mehvar hoon
Par dhoka aakhair dhoka hai
Kab tak dil ko behlaye ga
Do pal ki khushiyan de kar yeh
Mujhe sadiyan lahu rulaye ga
Kyun tum taqdeer se larti ho"safiya"
Kyun khud ko dhoka daiti ho
Khuwaabon ke tukre chun ke ab
Kyun khud ko ghayal karti ho
Yeh baat tumhain maloom to hai
Kab beeti yaadain loti hain
Jo baatain khuwaab si ho jayain
Woh baatain khuwaab hi rehti hain......
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment