skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Monday, May 18, 2009
MERI KISMAT
Hansi dekh k meri sab mehfil main muskura diye
Tumne pad liye shayad gham jo mere paas aa gaye
Baahon main bhar k poochha jab tumne
Kucch na bole hum bas muskura diye
Jaana tha aaj tumhe humse door hamesha k liye
Jaate jaate tere chehre se ashq chura liye
Saj k beithi thi tu apne mehboob k aagosh main
Saare armaan apne ishq kii aag main jala diye
Kucch na socha kabhi maine kucch na chaha tha tere siwa
Keh na paaya dil kii baat shayad thi ye meri khata
Kaash main iqraar kar deta apni mohabbat ka
Toh anjaam e- Ishq main na milti ye sazaa
Jaana hai kal subah tumhe sab naato ko tod kar
Is baat ne mere ashq thay baha diye
Dekhi thi maine shikan tere chehre par bhi
Mere aasuon ne sitam tujhpe dha diye
Tune poochha jab hale dil de k apni kasam
Raaz sare is dil k thay tujhe bata diye
palkein bheegi huyi lab khamosh thay
teri khamoshi ne mujhe saare jawab diye
saj chuki thi par doli teri
hum dono ne apne gham chhupa liye
sab roye thay teri vidaayi main
dekha jab tune mujhe toh hum muskura diye.
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment