skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Monday, May 25, 2009
Wo Hoga Kuch Aisa
Wo hoga Kuch Aesa, Koi Hoga Na Vaisa
Wo Hoga Rab Jaisa, Ab kya bolu Kaisa
Taarif Me Main Uski kuch Keh Nahi sakta
Koi aur Agar Kah de to Main Sah nahi sakta
Chehre ka Bholapan wo Andaaz se Baahar ho
Baaton ki wo shararat har khyaal se baahar ho
Hotho ka muskurana, Phoolon ka jaise Jhadna
Ho chaal uski aesi, baharo ka jaise badna
Aankho ka Surkpan wo, Baalo ki ki wo ghaataye
Saaban mai ud rahi ho, barsaat ki chataayein
Mujhe dekh muskuraye, Jaise mila hai sab kuch
Mera Paas aese aaye, ki Khud ko bhi bhool jaye
Mera Yakeen hai ye mujhse milegi ek din
Baatain Tamaam dil ki mujhse kahegi ek din
Ab to kuch bhi kahne ko shabd nahi milte
Jab sochta hu usko, Mere Honth Nahi Hilte
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment