skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Saturday, May 9, 2009
" PARI "
Jee Rahi Thi Akeli Magar Ek Din
Dekha Apne Hi Jaisa Akela Koi
Bandh Tha Woh Khamoshi Ki Zindaan Me
Jis Mein Darr Tha Na Tha Koi Rauzan Khula,
Jee Me Aaya Ke Uski Yeh Tanhaiyan
Baant Kar Shaad-O-Abaad Kar Doun Usse,
Usse Boli, "Mera Haath Thamoge Tum?"
Woh Meri Baat Par Soch Me Pad Gaya,
Apne Maazi Ka Darr Phir Kya Mujhpe Waa
Uska Maazi Ke Jis Par Kayi Daag The,
Woh Yeh Samjha Ke Uske Andheroun Ka Dar,
Phir Badal Dega Mere Irade Magar
Wo Irade Zyada Atal Ho Gaye,
Bas To Khud Ko Supurd-E-Hawa Kar Diya
Thaam Kar Haath Mera Wo Udne Laga,
Khawab Se Khawab Sa Koi Judne Laga,
Zindagi Ke Suhane Se Pal Ho Gaye,
WaQt Kaise Gaya Kuch Khabar Na Hui,
Ek Din Maine Usse Kaha Is Tarah
"Ye TalluQ, Ye Ehsaas Apni Jagah
Par Mujhe Ab Tum Apne Liye Maang Lo
Mujhko Apna Bana Lo Sada Ke Liye"
Sunke Ye Baat Meri Woh Chup Ho Gaya
Jaane Kis Soch Me Is Qadar Kho Gaya,
Uski Khamoshiyan Ne Dikhaya Magar,
Bebasi Uski, Lachariyoun Ka Nagar,
Aur Mein Apni Majbooriyoun Ka Jahan,
Chaha Kar Bhi Na Kar Paayi Uspe Ayyaan
,
Kis Tarah Usse Kehti Ye Mein " HOON PARI"
Umar Bhar Yun " PARI " Banke Reh Jaye Toh
Dolti Hai Nazar Uspe Har Dev Ki,
Aur Nazar Woh Ke Aisi Hai Jis Ki Tapish,
Saara Jeevan " PARI" Ka Jala Kar Tale,
Uski Khushiyoun Ki Aur Raahatoun Ki Jagah,
Likh De Uske MuQaddar Mein Tanhaiyan",
Main Ke Tanhaiyon Ki Satayi Hui,
Phir Se Yun Umr Bhar Ki Ye Tanhaiyan,
Kis Tarah Mol Le Loon, Tum Hi Ab Kaho?
Aur Phir Yun Hua, Mujhko Chunna Pada
Umr Ki Reh-Guzar Ke Liye Humsafar
Har " PARI " Ki Tarha Se Mujhe Bhi Yunhi
Banke Ladki Piya Sang Jaana Pada,
Maine Usse Phir Us Din Kuch Aise Kaha,
Ke "Main Ab Kisi Aur Ke Naam Hoon"
Ye Sun Ker WoH Chounka, "Woh IQraar-O-Ehd- E-Wafa,
Kya Hue, Woh Mohabbat Kidhar Kho Gayi?"
Main Ye Boli, "Daga Thi, Wo Sab Jhooth Tha,
Mujhko Ulfat To Apne Piya Se Hai Bas"
Kitna Hairan Hua Hoga Woh Sunkar Ise
Dil Shikasta Hua Hoga Uska Magar,
Main Hamesha Karoungi Khuda Se Dua........,
Usko Jeevan Mein Aisa Mile Humsafar,
Yaad Mujhko Kare Na Kabhi Bhool Kar,
Uske Daaman Mein Bhar Jaye Itni Khushi,
Usko Chhu Bhi Na Paaye Koi Gham Kabhi,
Tha MuQaddar Mein Apne Yehi Kuch RaQam,
Ke Mile Aur Mil Kar Bichhad Jaye Hum............
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment