skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Friday, September 4, 2009
Mujh Se khafa Ho ke
Mujh se khafa ho ke chup chaap sa beth jata hai
Khud bhi jalta hai mujhey bhi saath jalata hai
Us ko manatey hoye mein khud hi rooth jayun to
Phir merey paas aa ke raat bhar mujhey manata hai
Khud hi sawal kar ke khud hi jawab deta hai
Phir merey seeney se lag ke khud hi gungunata hai
Us ek pal ke sadqey mein meri to her khushi qurbaan
Jab wo sher kehtey hoye dheerey se muskurata hai
Subh ka sitara lagta hai zindagi se piyara lagta hai
Meri bahon mein aatey hoye jab wo bohut sharmata hai
Meri yaad ke mausam ko palkon pe sajaye rakhta hai
Beetey hoye her pal ki khabar mil kar mujhey batata hai
Merey bagher kesey guzri us ki kal ki raat
Us ki aankh ka phela kajal saari kahani sunata hai
Is shehar ke sawan mein barish ki raat jab aati hai
Be ikhtiyaar hi ek shakhs yaad bohut aa jata hai
Mein us ke naam ki nisbat se mooatbar hun apni zaat mein
Merey kahayl ka her ek saaz geet usi ke gata hai....!!
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment