skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Tuesday, September 15, 2009
Mat Poochho Ye Mujhse
Mat poochho ye mujhse ke kab yaad aate ho
Jab jab saansein chalti hain bahaut yaad aate ho
Neend mein palkein hoti hain jab bhi bhaari
Banke khwaab baar baar nazar aate ho
Mehfil mein shaamil hote hain hum jab bhi
Bheed ki tanhaiyon mein har baar nazar aate ho
Jab bhi socha ke faasla rakhoon main tum se
Zindagi ban ke saanson mein sama jaate ho
Khud ko toofaan banaane ki koshish to ki
Ban ke saahil apni aagosh mein sama jaate ho
Chaha na tha maine is paheli mein uljhna
Her uljhan ka jawab ban ke ubhar aate ho
Suraj ki roshni, chanda ki chandni
Aasmaan ko dekhta hoon main jab jab
Tumhari kasam bahaut bahaut yaad aate ho
Ab na poochhna mujhse ke kab kab yaad aate ho
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment