skip to main | skip to sidebar

Poem

Your Ad Here

Wednesday, September 30, 2009

~*Do PYase Dil*~


Do pyase dil aik huwe hain aise
Bichare ge ab kaise


Tum pyaar mujhye karte hi rahna
Sari umar tum aise


Ek douje main kho jate hain
Nadiya sagar jaise
Tuj se hay yeh zindgani
Tuj se hay jiwan kahani
Tuj se hay sanj aur sawera
Sathi kabhi tu na ruthe
Rasmon ki diwaar tutye
Tutye na bahoon ka ghira
Mere sanam teri kasam
Tuj se hay wahda yeh mera
Aise raheen ge
nain aur nindea jaise
Qadmon tale har khushi hay
Kitni haseen zindagi hay
Jiwan yunhi beet jaye
Aankhon k tu roeberoe hay
Dekhon jidhar tu hi tu hay
Tuj bin nazar kuch na aye
Hay zindagi humain kabhi
Zamana judaa kar na paye
Aise raheen ge
phool aur khushbo jaise
Posted by Rupali at 10:05 PM No comments:

Tuesday, September 29, 2009

Sapne our haqeeqat


Mujhko ye haqeeqat se door le jatay hain
Kabhi to ye sapne jeene ka maksad ban jatay hain

Par jab is kaanch pe lagti hai kabhi thokar
Bikharta hai sab kuch mera hoti hoon main dar badar

Aur jis pal is sheeshe main surat aati hai sanam ki
Us pal na intiha hoti hai khushi ki

Ek raat to hogi aisi jo ban jayegi haqeeqat
Us raat ke intizar mein main baithi hoon abhi tak
Posted by Rupali at 9:34 PM No comments:

Monday, September 28, 2009

Ki Sirf Tumse Hi Pyaar Hai...........


Hakikat hai ya afsanaa, kuchh nahi jaante hum…
HITLER pe lo aa ruka hai is dil ka yeh safar,
manzil thi saamne par hum the bekhabar,
thi HITLER ke dil pe kabse yeh nazar,
khamosh mohobbat aakhir kar aayi aasaar,
HUM ko to kab se yeh ikraar hai...
HUM ko to SIRF HITLER SE PYAAR HAI...

Dil ke darwaze bandh the to dastak di,
tum aa gaye leke chahat ki har khushi,
dil aaj se hamara ghar hua hai tumhara,
woh hua pehle jo na hua,

Haan........ is ghadi ka intezaar tha humko,
aao hum de ek dua zara TUMKO,
"Ki Rakhe Door Khuda Tumse Duniya Ke Har Gham Ko"
HUM Ko To Kabse Yeh Ikraar Hai...
Ki Sirf Tumse Hi Pyaar Hai...
Ki Sirf HITLER se Pyaar Hai...
Posted by Rupali at 9:30 PM No comments:

Sunday, September 27, 2009

Sab kuch hai pass hamare


Sab kuch hai pass hamare
Fir bhi kuch intezaar aaj bhi hai
Dekh chuke hain sabkuch magar
tere didaar ka intezaar aaj bhi hai
Tanhaai nahi par akelepan ka ehsaas sa kyoun hai
Har muskuraahat me gam ka ehsaas sa kyoun hai
milke baaten karne ki tamanna bahot thi
Halak me atakti hui si wo baat ruki aaj bhi hai
Socha tha jab milenge raah chalte kabhi
dil ki baaten juban par na aane denge
hamne lab khole bhi nahi aur wo sab jaan gaye
khaamoshiyon ko samazne ki wo adaa unme aaj bhi hai..
Posted by Rupali at 11:06 PM No comments:

Saturday, September 26, 2009

Maine Bhi Kissi Se Pyar Kiya Hain.....................


Agar har chehre mein uska chehra nazar aata hain,
agar har baatoon par uska naam leta hu,
agar isse pyar kehte hain toh haan,
maine bhi kissi se pyar kiya hain.........

agar kisike intezaar karne mein samay nahin dekhate,
agar uski aane par dil jhoom uttha hain,
agar isse pyar kehte hain toh haan,
maine bhi kissi se pyar kiya hain......

agar kisike door jane ke baad unki yaad satati hain,
agar sab ke saat rehte hue bhi akele mehsoos kartein hain,
agar isse pyar kehte hain toh haan,
maine bhi kissi se pyar kiya hain.....

khud mein khud baatein karna,
har pyare se gaane par sirf hum dono ka nazar aana,
agar isse pyar kehte hain toh haan,
maine bhi kissi se pyar kiya hain…

agar uski dil mein pyar ki koyi jaga nahin,
phir bhi uski pyar ki intezaar karna,
agar isse pyar kehte hain to haan
maine bhi kissi se pyar kiya hain…
Posted by Rupali at 3:47 AM No comments:

Friday, September 25, 2009

Socha Tha…………….


Socha Tha…………….,


Kabhi toh yeh phool khilenge…

Kabhi toh sare rang chalkenge…


Kabhi toh bahar ayegi…

aur unme lehrati hui khusi ayegi…

…………par ho naa sakaa,


Socha Tha…………….,


Kuch sapne pure honge…

Kuch apne saath honge…


aur unme Kuch khusi ki ehsaas bhi honge….

…………par ho naa sakaa,


Socha Tha…………….,


Yeh ashoon akhhon main hii rahenge…

aur yeh saans'en dhadkan main hin rahenge…..


…………………par ho naa sakaa,


Haan…. na ho sakaa……naa ho sakka dil ki hasrat puri…

Aur ab badh rahi hain…. woh ehsanson ki dooori…..
Posted by Rupali at 10:08 PM No comments:

Thursday, September 24, 2009

Sir jhukaney Ki Aadat Nahi Rahi


Sir jhukaney ki aadat nahi rahi
Ansoo bahaney ki aadat nahi rahi
Hum kho gaye to pachtao gay bohat
Hamari laut ke aaney ki aadat nahi rahi
Tere dar pe mohabbat ke sawali ban jatey
Lekin hath phelaney ki aadat nahi rahi
Teri yaadein humko aziz hain bohat
Magar waqt ganwaney ki aadat nahi rahi
Tum sakhat dil nikley kya gilla karein hum
Shikwa-e-dil lab pe laney ki aadat nahi rahi
Bad'dua bhi kya karein haq mein tumhare
Humein to dil bhi dukhaney ki aadat nahi rahi......
Posted by Rupali at 9:31 PM No comments:

Wednesday, September 23, 2009

JO DIL MAIN HAI KEHDO JAANA


Kyun shab bhar jaagte rehte ho
Kyun chup chup phirte rehte ho

Kyun sapne bunte rehte ho
Kyun Dil main hanste rehte ho

Kyun bekal bekal phirte ho
Kyun ulajh rahe ho yaadon se

Kyun bahel rahe ho baaton se

jo baat hai Dil main woh kehdo

Kyun tum iqraar nahi karte
Kya tum mujhe se Pyaar nahi karte
Posted by Rupali at 9:22 PM No comments:

Tuesday, September 22, 2009

Dil Mera Jalaane ki Zaroorat kya Thi.


Yoon hum ko sataane ki zaroorat kya thi,
Dil mera jalaane ki zaroorat kya thi.

Jo nahi tha ishq to keh diya hota,
Dil toor ke jaane ki zaroorat kya thi.

Maloom tha gar yeh khwaab toot jayenge,
Neend mein aa kar uthaane ki zaroorat kya thi.

Maan loo gar yeh yak tarfa mohabbat thi,
Mujh ko dekh kar muskuraane ki zaroorat kya thi


Yoon hum ko sataane ki zaroorat kya thi,
Dil mera jalaane ki zaroorat kya thi.

Jo nahi tha ishq to keh diya hota,
Dil toor ke jaane ki zaroorat kya thi.

Maloom tha gar yeh khwaab toot jayenge,
Neend mein aa kar uthaane ki zaroorat kya thi.

Maan loo gar yeh yak tarfa mohabbat thi,
Mujh ko dekh kar muskuraane ki zaroorat kya thi
Posted by Rupali at 9:46 PM No comments:

Monday, September 21, 2009

Mai Ne Chand Aur Sitaron ki Tamanna ki Thi


Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Mujh ko raton ki siyahi ke siwa kuch na mila
Mai wo nagma hon jise pyaar ki mahfil na mili
Wo musafir hon jise koi bhi manzil na mili
Zaqam paye hain baharon ki tamanna kit hi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Kisi gaisu kisi anchal ka sahara hi nahi
Raste mai koi dhandla sa sitara hi nahi
Meri nazron ne nazaron ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Dil me nakam ummidon ke basere paye
Roushi lene ko nikla to andhere paye
Rang aur noor ke dharon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Jo baat tujh me hai teri tasweer me nahi
Rangon me tera aks dhala na to dhal saki
Dilbar se pyaar ke shararon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Duniya me koi cheez nahi hai teri tarah
Phir ek bar aaja samene mere kisi tarah
Apne sanam se mine bahanon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi.
Posted by Rupali at 9:44 PM No comments:

Sunday, September 20, 2009

$ Jaane Kyon $


Jaane Kyon Hume Tumse Pyaar Hai
Jaane Kyon Tumhe Lekin Inkaar Hai

Jaane Kyon Tadapte Hain Dekhne Ko Tumhe
Jaane Kyon Nahi Hota Tera Dedaar Hai

Jaane Kyon Dil Dete Hain Hum Tumhi Ko
Jaane Kyon Dil Todte Aap Baar Baar Hai

Jaane Kyon Bhatakti Ho Kashti Ki Tarah
Jaane Kyon Tumhe Sahil Ka Intejaar Hai

Jaane Kyon Yakeen Hai Mujhe Wafa Pe Teri
Jane Kyon Nahi Aapko Mujh Per Etbaar Hai
Posted by Rupali at 9:31 PM No comments:

Saturday, September 19, 2009

Bewafa Dost


Gilla kya kare ab kisise hum..
Dosto ne hi pehchaanne se inkaar kardiya..

Gustaakhiyaan humne bhi ki hai zindagi mein bohat..
Aaj begunaah thei aur dosto ne maanne se inkaar kardiya..

Kiya tha kabhi vaada saath nibhaane ka sukh dukh mein..
Aaj humpe burra waqt aaya toh vaada nibhaane se inkaar kardiya..

Koi na bann sakka apna iss bhari duniya mein..
Jo tha azeez iss dil ka ussi ne aaj apnaane se inkaar kardiya
Posted by Rupali at 10:13 PM No comments:

Friday, September 18, 2009

Koi Mera Bhi To Ho Saath Nibhanay Ke Liye


Koi mera bhi to ho saath nibhanay ke liye
Mujhe maangey KHUDA se apna bananey ke liye

Mere aansoo meri palkon se churanay ke liye
Bas wohi ho mujhe seenay se laganey ke liye

Yun to hain chahnay walay bohat se dunya mein
Nahin hai koi magar saath nibhanay ke liye

Din bhar khwaab jo tootay thay samaitay humne
Phir so gaye naye khwaab sajanay ke liye
Roz ik Jehd-e-Musalsal mein laga rehta hoon


Meri saanson ki rawaani to faqat dhoka hai
Haan main zinda hoon magar sirf dikhanay ke liye
Posted by Rupali at 9:26 PM No comments:

Thursday, September 17, 2009

Woh Pyar Bhi Karti Hai or Izhar Bhi Nahi Karti


Woh pyar bhi karti hai or izhar bhi nahi karti
Jo poochle koi usse to iqrar bhi nahi karti

Woh aisi saada dil hai ki mujhse milne ki duain bhi maangti
Jab samne aajaaun to deedar bhi nahi karti
Agar us se dooor jaun me to saans ruk jaaye uski
Or koi maang le mujhe ussey to inkaar bhi nahi karti


Apne kareeb aane se wo rok deti hai mujhko
Or raah me haayil koi deewar bhi nahi karti..
Mere dil ke darwaze per wo dastak bhi deti hai....
Or wo darwaza khull jane ka intizaar bhi nahi karti
Posted by Rupali at 9:57 PM No comments:

Wednesday, September 16, 2009

Kash Teri Ankhoon May Kajal Na Hota!


Kash taray maathay pay teeka na hota!
meray chehray ka rang younhi pheeka na hota
May nay pyar karna tum say hi seekha na hota
ashk say daman mara younhi bheega na hota

Kash teri ankhoon may kajal na hota!
Maira dil teray liay younhi paagal na hota
rukh pa maray har waqt tera anchal na hota
tera chehra maray liay rah ka mashghal na hota

Kash taray hoonton pa lali na hothi!
meri har baat taray ishq ki sawali na hoti
meri aqal auroon ko sochnay say khali na hoti
meri KAMRANI ki youn khasta hali na hoti.

Kash tu mil jatee
hayat ki kali khil jatee
har shay mujay mil jatee
meri khahishay sab sil jatee
Posted by Rupali at 9:41 PM No comments:

Tuesday, September 15, 2009

Mat Poochho Ye Mujhse


Mat poochho ye mujhse ke kab yaad aate ho

Jab jab saansein chalti hain bahaut yaad aate ho

Neend mein palkein hoti hain jab bhi bhaari

Banke khwaab baar baar nazar aate ho

Mehfil mein shaamil hote hain hum jab bhi

Bheed ki tanhaiyon mein har baar nazar aate ho

Jab bhi socha ke faasla rakhoon main tum se

Zindagi ban ke saanson mein sama jaate ho

Khud ko toofaan banaane ki koshish to ki

Ban ke saahil apni aagosh mein sama jaate ho

Chaha na tha maine is paheli mein uljhna

Her uljhan ka jawab ban ke ubhar aate ho

Suraj ki roshni, chanda ki chandni

Aasmaan ko dekhta hoon main jab jab

Tumhari kasam bahaut bahaut yaad aate ho

Ab na poochhna mujhse ke kab kab yaad aate ho
Posted by Rupali at 9:33 PM No comments:

Monday, September 14, 2009

Tumhe Zid hai ke ....................................

Tumhe Zid hai ke mai keh doon,

mujhe zid hai ke tum keh do,

" Mujhe Tum Se Mohabbat Hai"

Kaho, mujh se mohabbat hai.......

Nahi yeh jaante dono,

Mohabbat kab mohtaaj hai,

lafzon ki,

baaton ki,

Mohabbat to hamari dharkanon ke saaz mai shamil,

sureeley geet ki manind,

Mohabbat yaad ki devi,

Jo tanha raat ko aksar,

Aati hai aankhon mai,

Mohabbat soch ki gehraiyon se phoot`ti khushboo,

hamesha saath rehti hai,

magar phir bhi, naa jane kiyu,

Tumhe Zid hai ke mai keh doon,

mujhe zid hai ke tum keh do,

" Mujhe Tum Se Mohabbat Hai"

Kaho, mujh se mohabbat hai.......
Posted by Rupali at 10:03 PM No comments:

Sunday, September 13, 2009

Kabhi Muhabbat Kiya Karte The...


Hum Beedhun Men Jiya Karte the,
Hum Bhi Chup Chap Phira Karte the..
Ankhoon Men Peyas Hua Karte Thi,
Dil Men Toofan Utha Karte the..
Log Aate the Ghazal Sunene Ko,
Hum Tere Bat kiya Karte the..
Sach Samjhty the Tery Wadoon Ko,
Rat Din Ghar Men Raha Karte the..
Kisi Wiraany Men Tujh Sey Mil Kar,
Dil Men kiya Phool Khila Karte the..
Ghar Ke Dewar Sajaney Ki Khatir,
Ham Tera Nam Likha Karte the..
Wo Bhi kiya Din the, Tujhe Bhula Kar,
Ham Tujhe Yaad kiya Karte the..
Kal Tujhe Dekh Kar Yaad Aaya,
Ham Bhi Kabhi Muhabbat kiya Karte the..
Posted by Rupali at 10:55 PM No comments:

Friday, September 11, 2009

Usne Kaha Mujh Se Kitna Pyaar Hai


Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai

Maine kaha Sitaron ka koi Shumaar hai



Usne kaha kon Tumhein hai boht Aziz

Mai ne kaha Dil pe Jise Ikhtiyar hai



Usne kaha konsa Tohfa hai pasand?

Mai ne kaha Wo Shaama jo ab tak Udhaar hai



Usane kaha sath kahan tak Nibhao ge?

Mai ne kaha jitni ye Saanson ki Taar hai



Usne kaha Mujh ko Yaqeen aaye kis tarah?

Mai ne kaha Mera Naam hi Aitbaar hai
Posted by Rupali at 10:31 PM No comments:

Thursday, September 10, 2009

Mere Liye kuch khaas Hai Wo Shaqs...


Mere liye kuch khaas hai wo shaqs...
Mere liye meri ROOH hai wo shaqs...

Jiski BAATON ne mujhi ko mujhse se CHURA liya,
Mere liye meri SAANSE hai wo shaqs...

Jiski har ek ADA ne mujhe Pagal bana diya.
Mere liye meri saari KHUSHIYA hai wo shaqs...

Jise khush Dekh kar mera dil khush hua,
Mere liye mera NOOR hai wo shaqs...

Jise mai apna DILBAR, DILKASHI keh saku,
Mere liye MERI JaaN hai wo shaqs......!!!
Posted by Rupali at 9:32 PM No comments:

Wednesday, September 9, 2009

kaise kahu ki apna banalo muje


kaise kahu ki apna banalo muje,
bahon me apni samaa lo muje,

bin tumhare ek pal bhi ab kat'ta nahi,
tum aakar muji se chura lo muje,

zindagi to wo hai ,sang tumhare jo guzre,
duniya ke ghamo se ab chuda lo muje,

kaash...ye meri aakhri khawahish ho puri,
tum agar paas apne bulalo muje,

ye kaisa nashaa hai jo behka raha hai,
tumhara hoo mai ,lo ab sambhalo muje,

na jaane fir kaise guzregi ye zindagi,
agar apne dil se kabhi tum nikalo muje..
Posted by Rupali at 9:52 PM No comments:

Monday, September 7, 2009

LOKI PUCHE SAJNA DA PYAAR KIWE PAIDA


LOKI PUCHDE SJANA DA PYAAR KIWE PAIDA,

DIL HATH TE DHAR KE SAJNA WAL LANGH JAIDA,

PATA VI NA LAGE SAJNA NU EVE DIL CH VAS JAIDA,

ZAKHMA NU CHUPA KE SAJNA NU HASAIDA,

GALT HOVE SAJAN,TA PYAAR NAAL SAMJAIDA,

RUS JAVE TA JIND JAAN NAL MANAIDA,

ENA PYAAR SAJAN NAAL PAIDA,

JE RABB BULAVE SAJNA NU TAN AAP TUR JAIDA...........
Posted by Rupali at 10:23 PM No comments:

Sunday, September 6, 2009

Itanii Shakti Hamen De Na Daataa


Itanii Shakti Hamen De Na Daataa
Manakaa Vishvaas Kamazor Ho Naa
Ham ChaleNek Raaste Pe Hamase
Bhuulakar Bhii Koi Bhuul Ho Naa

Har Taraf Zulm Hai Bebasii Hai
Sahamaa-Sahamaa-Saa Har Aadamii Hai
Paap Kaa Bojh Badhataa Hii Jaaye
Jaane Kaise Ye Dharatii Thamii Hai
Bojh Mamataa Kaa Tu Ye Uthaa Le
Terii Rachanaa Ka Ye Ant Ho Naa

Ham ChaleNek Raaste Pe Hamase
Bhuulakar Bhii Koi Bhuul Ho Naa



Duur Agyaan Ke Ho Andhere
Tu Hamen Gyaan Kii Raushanii De
Har Buraaii Se Bachake Rahen Ham
Jitanii Bhii De, Bhalii Zindagii De
Bair Ho Naa Kisikaa Kisiise
Bhaavanaa Man Men Badale Kii Ho Naa

Ham ChaleNek Raaste Pe Hamase
Bhuulakar Bhii Koi Bhuul Ho Naa


Ham Na Sochen Hamen Kyaa Milaa Hai
Ham Ye Sochen Kiyaa Kyaa Hai Arpan
Phuul Khushiyon Ke Baaten Sabhii Ko
Sabakaa Jiivan Hii Ban Jaaye Madhuban
Apanii Karunaa Ko Jab Tu Bahaa De
Karade Paavan Har Ik Man Kaa Konaa

Ham ChaleNek Raaste Pe Hamase
Bhuulakar Bhii Koi Bhuul Ho Naa

Ham Andhere Men Hain Raushanii De,
Kho Naa De Khud Ko Hii Dush{}Manii Se,
Ham Sazaa Paaye Apane Kiye Kii,
Maut Bhii Ho To Sah Le Khushii Se,
Kal Jo Guzaraa Hai Phirase Naa Guzare,
Aanevaalaa Vo Kal Aisaa Ho Naa

Ham Chale Nek Raaste Pe Hamase,
Bhulakar Bhii Koi Bhuul Ho Naa
Itanii Shakti Hamen De Naa Daataa,
Manakaa Vish{}Vaas Kamazor Ho Naa
Posted by Rupali at 9:47 PM No comments:

Saturday, September 5, 2009

Sardi Ki Wo Raat


Sardi Ki Wo Raat Thi,
Aur Paas My Jalti Aag Thi,
Ab Tak Tu Tanha Jiye The Hum,
Par Shayad Aaj Millan Ki Raat Thi,
Naa Jane Kyun Laga,
Par Aaj Unky Chuvan Me Kuch Khas Baat Thi,
Aag Tu Jall Rahi Thi Magar,
Woo Sardi Bhi Kuch Khas Thi,
Unki Bahoo Ki Garmi Me Bann Ke Momm,
Pighlate Rahe Sari Raat Hum,
Aur Us Aag Me Sari Raat Jalte Rahi Woo,
Jo Anjane Me Sulga Rahe The Hum,
Sansoo Se Sanse Takrayi To,
Hony Lagi Tez Dono Ki Dhadkan,
Aur Jab Hontho Ke Angaro Ne Hame Chuma,
To Sar Se Paw Talak Jal Utthe The Hum,
Ishq Ki Aag Kab Bujhti He Aap Bataye,
Chahe Darya Ya Samndar Me Doob Jaye,
Jinko Milaya Hay Khud Khuda Ne,
Milngy Wo Zarur,
Chahy Duniya Idhar Ki Udhar Ho Jaye !
Posted by Rupali at 10:07 PM No comments:

Friday, September 4, 2009

Mujh Se khafa Ho ke


Mujh se khafa ho ke chup chaap sa beth jata hai
Khud bhi jalta hai mujhey bhi saath jalata hai


Us ko manatey hoye mein khud hi rooth jayun to
Phir merey paas aa ke raat bhar mujhey manata hai

Khud hi sawal kar ke khud hi jawab deta hai
Phir merey seeney se lag ke khud hi gungunata hai

Us ek pal ke sadqey mein meri to her khushi qurbaan
Jab wo sher kehtey hoye dheerey se muskurata hai

Subh ka sitara lagta hai zindagi se piyara lagta hai
Meri bahon mein aatey hoye jab wo bohut sharmata hai

Meri yaad ke mausam ko palkon pe sajaye rakhta hai
Beetey hoye her pal ki khabar mil kar mujhey batata hai

Merey bagher kesey guzri us ki kal ki raat
Us ki aankh ka phela kajal saari kahani sunata hai

Is shehar ke sawan mein barish ki raat jab aati hai
Be ikhtiyaar hi ek shakhs yaad bohut aa jata hai

Mein us ke naam ki nisbat se mooatbar hun apni zaat mein
Merey kahayl ka her ek saaz geet usi ke gata hai....!!
Posted by Rupali at 9:52 PM No comments:
Newer Posts Older Posts Home
Subscribe to: Posts (Atom)
Your Ad Here

Followers

About Me

Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
 

Blog Archive

  • ▼  2009 (237)
    • ►  November (28)
    • ►  October (31)
    • ▼  September (28)
      • ~*Do PYase Dil*~
      • Sapne our haqeeqat
      • Ki Sirf Tumse Hi Pyaar Hai...........
      • Sab kuch hai pass hamare
      • Maine Bhi Kissi Se Pyar Kiya Hain....................
      • Socha Tha…………….
      • Sir jhukaney Ki Aadat Nahi Rahi
      • JO DIL MAIN HAI KEHDO JAANA
      • Dil Mera Jalaane ki Zaroorat kya Thi.
      • Mai Ne Chand Aur Sitaron ki Tamanna ki Thi
      • $ Jaane Kyon $
      • Bewafa Dost
      • Koi Mera Bhi To Ho Saath Nibhanay Ke Liye
      • Woh Pyar Bhi Karti Hai or Izhar Bhi Nahi Karti
      • Kash Teri Ankhoon May Kajal Na Hota!
      • Mat Poochho Ye Mujhse
      • Tumhe Zid hai ke ....................................
      • Kabhi Muhabbat Kiya Karte The...
      • Usne Kaha Mujh Se Kitna Pyaar Hai
      • Mere Liye kuch khaas Hai Wo Shaqs...
      • kaise kahu ki apna banalo muje
      • LOKI PUCHE SAJNA DA PYAAR KIWE PAIDA
      • Itanii Shakti Hamen De Na Daataa
      • Sardi Ki Wo Raat
      • Mujh Se khafa Ho ke
      • SIRF TUMSE MOHBBAT KARTA HAI
      • ~*Do PYase Dil*~
      • :: Ek baat kahu… ::
    • ►  August (31)
    • ►  July (30)
    • ►  June (29)
    • ►  May (29)
    • ►  April (29)
    • ►  March (2)