skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Thursday, June 25, 2009
Kab Raat Hue Kab Parbhaat
Pehli baar jab un se meri tanhaayi mein baat hue,
Mere dil ke har kone mein phuulon kee barsaat hue,
Un ke hothon par machli tou voh sirf ikk muskaan hee thee,
Lekin mujh tak aate aate phuulon kee saugaat hue,
Chand, sitaare jugnu usko sunte thay muskaate thay,
Shabb bhar aankhon hee aankhon se jis bhaasha mein baat hue,
Aur koi pehchaan meri tou ishq me baaki hai hee nhi,
Dil kee khalish hee mazhab mera dil kee khalash hee zaat hue,
Masti kaa aalam na poochho khud mein jazab huey hum yuun,
Dhadkan ko bhi yaad nhi kab raat hue parbhaat hue,
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment