skip to main
|
skip to sidebar
Poem
Your Ad Here
Monday, April 13, 2009
Ghar….Har raat banati hoon mein ghar apna
Har raat banati hoon mein ghar apna,
Jod kar un taroon ko!
Us raunak mein kho jati hoon….
Raat cut hi jaati hai us chamak mein!
Chaand aur chandini ki hifaazat mein!
Par jub ubharta hai suraj ,
Ghar mera gum ho jata hai!
Mit jati hai uski lakeerein !
Gumnaam darwazein aur daayrein !
Par din dhaltein hi….
Phir sara aasmaan banta hai aangan mera,
Aur mein phir basau usmein basera!
Najanu mein, agar wohi tarein bantein hai har raat mere ghar ke eent
Khair par chamaktein hai inse mere ghar ki dehleez!
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Your Ad Here
Followers
About Me
Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
No comments:
Post a Comment