Thursday, April 9, 2009

EK RUH KI MUHABBAT


Soya huwa tha main ek din,achaanak main jaag utha
Paas baithi thi ek HUR mere,god me uske mera sar tha
Saansen meri tez thin,ek nasha tha aankhon me mere
Ek ajib si khushi thi mujhme,par dil me thora darr tha
  
Kaampne laga mera jism saara,far farrane lage then honth mere
Tab maine ek mushkaan dekhi,jiske honto pe ek dard tha
Lipat chukka tha main tadap kar usse,kuchh mujhko tha yaad aaya
Wah bhi sisakti ro rahi thi,mere aankhon me bhi dard tha
  
Wah meri muhabbat thi yaaron,jisko chaahta hai ab bhi tut kar EHSAAS
Aaati rahti hai wo aksar,muhabbaton ki hai wah mishaal bani
Ro leta hun uske RUH se lipat kar AAHH main EHSAAS
Aaj bhi usko na bhul paaya,duwaayen bhi nakaam bani
 
Koun kehta hai , jinda nahin ISHQ is duniya me ab
Hawas chhodo aur pyaar karo,samjho RUH ka jo dard tha
Wah chhod chuki is duniya ko,lekin bhul na paaee mujhko ab tak
Aankhen meri hain aaj bhi roti,samjho yaaron mera  jo dard tha

No comments:

Post a Comment