skip to main | skip to sidebar

Poem

Your Ad Here

Thursday, April 30, 2009

Tu Hai Meri Pehli Aur Aakhri Ummid



Tu Hai Meri Pehli Aur Aakhri Ummid
Tujhpe Hai Mujhe Apne Aap Se Zyada Vishwas
Tujhpe Hai Mujhe Khuda Se Zyada Vishwas
Mera Vishwas Kabhi Na Todna.
 
Saansein Kar Di Hai Tere Vishwas Ke Hawale
In Saanson ka Kaafila Na Todna
Mera Vishwas Kabhi Na Todna.

Rooh Mahekti Hai Sirf Isi Vishwas Ke Sahare
Ke Tu Hamesha Rahegi Meri Rooh Me Shamil
Mera Vishwas Kabhi Na Todna.

Mohabbat Ki Duniya Hai Tere Vishwas Ki Badaulat
Ke Tu Chalegi Har Kadam Mujhse Wafa Nibhake
Meri Wafa Ka Vishwas Kabhi Na Todna.

Teri Wafayein Hai Meri Saans Ke Aane Ka Sabab
Mujhse Bewafai Karke Mera Vishwas Kabhi Na Todna.

Tere Sahare Hi Hai Meri Zindagi Ka Har Kadam
Mujhe Thokar Marke Mera Vishwas Kabhi Na Todna.

Maana Hai Tujhe Khuda Se Badhke
Mere Is Maan Ka Maan Kabhi Na Todna.
Meri Jaan Mera Vishwas Kabhi Na Todna.
 
Chal Pada Hoon Tanha Safar Pe
Sirf Tere Vishwas Ke Dam se
Raah Me Mujhe Akele Chhodke
Mera Vishwas Kabhi Na Todna.
 
Chhod Diya Duniya Ko Tere Hi Bharose
Main Duniya Me Tanha Ho Jaunga Tere Bina
Mujhe Tanha Chhod Ke
Mera Vishwas Kabhi Na Todna.
 
Rehti Hai Dil Ke Aayne Me Sirf Teri Hi Wafa Ki Tasvir
Khain Bewafai Karke Is Aayne Ko Chur Chur Na Karna
Mera Vishwas Kabhi Na Todna.
Posted by Rupali at 9:16 PM No comments:

Wednesday, April 29, 2009

Humko mohabbat hai zindgi se.


Apno se juda kar deti hai, Aakhon mein paani bhar deti hai,

Kitni shikayat hai zindgi se. Phir bhi iska aitbaar hai, 

Phir bhi iska intzaar hai, Humko mohabbat hai zindgi se.

Kabhi khushiyon ka mela lagta hai, Kabhi har koi akela lagta hai.

Kabhi humpe karam pharmati hai, Kabhi humse nazar churati hai.

Palkon se isko chakhte hain,  Isey pass hi apne rakhte hain,

Itni nazakat hai zindgi se, Humko mohabbat hai zindgi se.

Humko adaayein dikhati hai ye, Jeena bhi humko sikhati hai ye.

Kabhi paas hai to kabhi door hai, Ye zindgi bhi badi mashhoor hai.

Kabhi karti hai aankh micholi,  kabhi sajaye sapno ki doli,

Itni shararat hai zindgi se. Humko mohabbat hai zindgi se.

Door ye ho to ghum hota hai, Pass ho to iska karam hota hai.

Khud apni marzi se chalti hai, Suraj ki tarah se ye dhalti hai.

Isey jab bhi hum dekhte hain,  Mann hi mann ye sochte hain,

Kitni hifazat hai zindgi se. Humko mohabbat hai zindgi se.

Aansu bhi ho to pee lete hain, Pal do pal khushi se jee lete hain.

Har pal humko nahi hai roka, Thoda humko bhi deti mouka.

Zindgi gujar jaaye taqraar mein,  Chahe gujar jaaye ye pyaar mein,

Itni izazat hai zindgi se. Humko mohabbat hai zindgi se.

Posted by Rupali at 9:58 PM No comments:

Tuesday, April 28, 2009

~*Meri Duniya Aap Hain*~


Ho tamanna aur kya 
jane tamanna aap hain
Kya karon gi le k duniya
Meri duniya aap hain

Sharm ati hay mujhye 
Apne se bhi kahte huwe
Aap se kaise kahoon 
Mere liye kiya aap hain 
 
Aap se pahle nazar main 
Kuch na tha apne siwa 
Ab jidar bhi dekhti houn 
Jalwa parwa aap hain 
 
Ho tamanna aur kya 
jane tamanna aap hain 
Kya karon gi le k duniya 
Meri duniya aap hain

Posted by Rupali at 10:04 PM No comments:

Monday, April 27, 2009

~*Reh Reh K Dil Tarpaye Ga*~


Hansti huy aankhon ka kajal 
  
Urti huy zulfon ka badal 
  
Reh reh k dil tarpaye ga 
  
Jab jab meri yaad aye gi 
  
Itna pyaar kiya hay tum se 
  
Bhulo kabhi mumkin hi naheen hay 
  
Jab bhi poukara pyaar se tum ne 
  
Muj ko apne dil pe yaqeen hay 
  
Samne mera saya ho ga 
  
Jab jab meri yaad aye gi 
  
Chup jaoun gi in palkoon main 
  
Bas jaoun gi main sansoon main 
  
Jin rahoon pe tum jao ge 
  
Muj ko pao ge un rahoon main 
  
Qadmon main dil a jaye ga 
  
Jab jab meri yaad aye gi

Posted by Rupali at 10:12 PM No comments:

Sunday, April 26, 2009

Dil Main Basa Longa



Main dil main basa lon ga teri yaad ko aisay
Rehta hai kissi jism main koi ruh jasay

Main ankhon main basa lon ga teri tasveer ko asay
Hathon mai parhi hain yeh lakeerain jasay

Main daaman main bhar lon ga teri mohabbat asay 
Khusion say bhar layta hai koi jholi jasay

Main pochon ga hawa say teray ahwal ka asay
Khamoshi say nikalti hai jism say jan jasay

Main mangon ga khuda say teri khushian asay
Mangay hai koi qaid main rihai jasay

Mai rahon ga tera hi hamesha asay
Rehti hai kissi phol main khushbo jasay

Posted by Rupali at 9:58 PM No comments:

Saturday, April 25, 2009

Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do,



Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do, 
Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do, 

Isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai, 
Mujhe ishq ki baaho mein so jaane do, 

Tadap ki aag hai judaai ki baahon mein, 
Mujhe aaj iss mohabbat se mil jaane do, 

Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe, 
Mujh benaam ko iss naam mein kho jaane do, 

Kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob, 
Mujhe iss mohabbat ki aag mein jal jaane do.

Posted by Rupali at 9:11 PM No comments:

Friday, April 24, 2009

Kya hua tujhe


--FEMALE--
Kya hua tujhe

--MALE--
Bechain dil ho raha

--FEMALE--
Kyoon hua bhala

--MALE--
Mujhko nahin kuch pata

--FEMALE--
Aisa bhi kya ho gaya re

--MALE--
Jaane mujhe kya hua re

--FEMALE--
Dhadkanein badhi

--MALE--
Dhadkan to ruk si gayi

--FEMALE--
Saanson ka kya

--MALE--
Saansein bhi bas mein nahin

--FEMALE--
Arre re re yeh kya hua re
Voh to nahin ho gaya re
Kya hua tujhe

--MALE--
Kitna mushkil chhupaana
Usse bhi mushkil bataana

--FEMALE--
Dil ki baaton ko lekin
Apnon se na chhupaana

--MALE--
Mm, kehna chaahoon main lekin
Kuch kaha bhi na jaaye

--FEMALE--
Rog tumko laga jo
Usse rab hi bachaaye

--MALE--
Iski dava

--FEMALE--
Iski dava kuch nahin

--MALE--
Ab hoga kya

--FEMALE--
Arre mujhko pata hi nahin
Arre re re yeh kya hua re

--MALE--
Jaane mujhe kya hua re

--FEMALE--
Kya hua tujhe

--MALE--
Hey ae ae

--FEMALE--
Aa aa aa aa aa, aa aa aa
Aa aa aa aa aa
Dil ki baaton ko dilbar
Jo na humse kahoge
Dekhna zindagi bhar
Tum tadapte rahoge

--MALE--
Kaunsa mod hai yeh
Kaisi yeh bekhudi hai
Main kahan hoon mujhe to
Kuch khabar hi nahin hai

--FEMALE--
Kuch to khabar lo tum zara apne dil ke

--MALE--
Dil to mera ab paas mere nahin
Tera hua, kya karoon re
Arre re re pyaar ho gaya re
Tujhse hi pyaar ho gaya re

--BOTH--
Tujhse hi pyaar ho gaya re

Posted by Rupali at 9:27 PM No comments:

Thursday, April 23, 2009

Kitni Mohabbat hai.....


Tumko chuke bhi chune ko karta hia dil,

Pake bhi pane ko karta hai dil,

Awaargi aane lagi ,

Sansoo mein khusboo chahne lagi

Dil pe dewanagi chah gai is kadar,

Band ankhoon se bhi mujhko aiye nazar,

Kaisai kahein hame kitni mohabbat hai,
haan mohabbat hai,
 

Kaisai kahein hame kitni mohabbat hai,

Kitni mohabbat hai.....

Posted by Rupali at 9:52 PM No comments:

Wednesday, April 22, 2009

To dil abaad hota hai…



Tumhaara naam kuch aise mere hoonthoon pe khilta hai
Andherii raat mein jaise
Achaanak chaand baadal ke kisi kone se jhaankta hai
Aur saare manzaroon mein jaise roshnii sii phail jaati hai
Aur jaise larazti auus ke qatre pehan ke muskuraati hai
To khushboo baagh ki deewaar se rooke nahin rukti
Ussi khushboo ke dhaage se mera har chaak silta hai
Tumhaare naam ka taara meri saansoon mein saansoon mein khilta hai
Tumhein jab dekhta hoon jab safar ki shaam se pehle
Kisi uljhi hoi gumnaam si jinta ke jaadoo mein
Kisi soche joe benaam lamhe ki khushboo mein
Kisi mausam ke daman mein kisi khvaahish ke pehlo mein
To iss khushrang manzar mein tumhaarii yaad ka rasta
Najaane kis taraf phuut-ta hai
Aur phir aise mein mere hamraah chalta hai
Ke aankhoon mein sitaaaroon ki guzar-gaahein si banti hain
Dhanak ki kehkashaaein sii
Tumhaare naam ke in khusnuma lafzoon mein dhalti hain
Ke jin ke lams se hoonthoon pe jugno raqs karte hain
Tumhaare khvaab ka rista meri niindoon se milta hai
To dil abaad hota hai
Mera har chaak silta hai
Tumhaare naam ka taara meri raatoon mein khilta hai 

Posted by Rupali at 9:41 PM No comments:

Tuesday, April 21, 2009

HUM TUM


Kehna Tum se Hai,Tum Apna Khayal Rakhna,
Pooch Lena Mujhe,Naa Mere Liye 
Dil mein Koi Sawaal Rakhna

Main Yeh Nahi Kehta Ke Sab Kuch Yaad Rakhna,
Jab Hum Mile Thay Bas Yaad Wo Din,
Wo Ghadi Aur Wo Saal Rakhna



Naa Sochna Kabhi Ke Badal Jayenge Hum,
Hum Khawab Nahi Jo App Ki 
Aankhon Se Nikal Jaayenge 


Agar Yakeen Naa Ho To 
Mujh Se Meri Zindagi Maang Lo,
Bichha Dena Pyar Ki Baahein,.
Hans Kar Mar Jaayenge Hum
Posted by Rupali at 9:47 PM No comments:

Monday, April 20, 2009

Eik Raat Huyi Barsaat Bahut


Eik raat huyi barsaat bahut
 
Main royi saari raat bahut
 
Har gam tha zamane ka lekin...
 
Main tanha thi iss raat bahut

Phir aankh se eik saawan barsa
 
Jab seher huyi to khayal aaya
 
Woh badal kitna tanha tha
 
Jo barsa sari raat bahut...!!!

Posted by Rupali at 10:24 PM No comments:

Sunday, April 19, 2009

~*Do PYase Dil*~


Woh bhi ek zamana tha…

Ki hum tub mila kartein the!

Har shyaam sajti thi mehfil,

Mulaqaat kuch yun hoti thi!

Hathoon se haath chootein na the,

Nigahoon se nazrein hati na thi!

Kareebiyaan kuch yun hoti thi ….

Ki  jhonke ko guzarne ka rasta na milta !

Har cheez se lagaav ho jata,

Tinke par bhi taras aata !

Jub  sab kuch lagta tha suhana!

Hum  aaj bhi un hathoon ki narmi ko dhoondte hi rehtein hai….

Phir us mehfil ki talaash mein bhatakte hi rehtein hai….

Par najane kaha reh gaya woh padhaav ,

Najane kab chod aaye hum uski chaav,

Woh bhi ek zamaana tha ……

Ki tub hum mila kartein the……

Muhobbat ke pal zinda hua kartein the!
Posted by Rupali at 9:57 PM No comments:

Saturday, April 18, 2009

~*Do PYase Dil*~


Do pyase dil aik huwe hain aise
Bichare ge ab kaise

Tum pyaar mujhye karte hi rahna
Sari umar tum aise

Ek douje main kho jate hain
Nadiya sagar jaise 
 
Tuj se hay yeh zindgani 
Tuj se hay jiwan kahani 
Tuj se hay sanj aur sawera 
 
Sathi kabhi tu na ruthe 
Rasmon ki diwaar tutye 
Tutye na bahoon ka ghira 
Mere sanam teri kasam 
Tuj se hay wahda yeh mera 
Aise raheen ge 
nain aur nindea jaise 
 
Qadmon tale har khushi hay 
Kitni haseen zindagi hay 
Jiwan yunhi beet jaye 
 
Aankhon k tu roeberoe hay 
Dekhon jidhar tu hi tu hay 
Tuj bin nazar kuch na aye 
Hay zindagi humain kabhi 
Zamana judaa kar na paye 
 Aise raheen ge 
phool aur khushbo jaise

Posted by Rupali at 9:59 PM No comments:

Friday, April 17, 2009

~*Maang Liya Jab Tuj Ko KHUDA Se*~


Dhund rahi theen jane kab se 
 Teri surat meri aankheen 
 Sath raheen ge saya ban k 
 Teri surat meri aankheen 
 
Kaisa darna phir duniya se 
 Maang liya jab tuj ko KHUDA se 
 Karti raheen gi pyaar ko sajde 
 Teri surat meri aankheen 
 
Armanon ne li angrayi 
 Gonge uthi dil main shehnayi 
 Le ayi muj ko manzil pe 
 Teri surat meri aankheen 
 
Duniya chute sath na chute 
 Har shye tute pyaar na tute 
 Sath raheen humrahi ban k 
 Teri surat meri aankheen

Posted by Rupali at 10:05 PM No comments:
Newer Posts Older Posts Home
Subscribe to: Posts (Atom)
Your Ad Here

Followers

About Me

Rupali
View my complete profile
Your Ad Here
 

Blog Archive

  • ▼  2009 (237)
    • ►  November (28)
    • ►  October (31)
    • ►  September (28)
    • ►  August (31)
    • ►  July (30)
    • ►  June (29)
    • ►  May (29)
    • ▼  April (29)
      • Tu Hai Meri Pehli Aur Aakhri Ummid
      • Humko mohabbat hai zindgi se.
      • ~*Meri Duniya Aap Hain*~
      • ~*Reh Reh K Dil Tarpaye Ga*~
      • Dil Main Basa Longa
      • Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do,
      • Kya hua tujhe
      • Kitni Mohabbat hai.....
      • To dil abaad hota hai…
      • HUM TUM
      • Eik Raat Huyi Barsaat Bahut
      • ~*Do PYase Dil*~
      • ~*Do PYase Dil*~
      • ~*Maang Liya Jab Tuj Ko KHUDA Se*~
      • Dil mein utar kar nhi dekhaa
      • Zindgi main kya jane kya sahte rahe
      • Yeh Dosti Teray Dum Say Hai
      • Ghar….Har raat banati hoon mein ghar apna
      • Kaash aap hamare hote...
      • Tera pyaar chahiye
      • Mere har Pal Mein Maujood Ho!
      • EK RUH KI MUHABBAT
      • *~Kachchi Deewar Hoon*~
      • Anokha rista jo tujhse ban gayaa
      • Hum Bhi Afsane Likhte
      • "'ADHOORA PYAAR MAT KARNA...!'"
      • " Barsoun Baad "
      • Barish Ka Mousam
      • Woh naam mera hi to hai
    • ►  March (2)